Thursday, 27 June 2013

mujh ko bhula to na do ge

 
agar main bta doon main kya chhahti hoon
nazron se apni gira to na do ge
jo main chhahti hoon wotum bhi na chhaho
mujhe koi karri si saza to na do ge
main muhabbaton me jabar ki qaail nahi hoon
dil laga ker mujh ko bhula to na do ge
jo main bta doon mere mann me kya hai
tum jaahan me tamasha bna to na do ge
darti hoon tum se main raaz-e-dil sunaate
tum hansi me baat urra to na do ge
agar main bta doon main kya chhahti hoon
wafaon k badle jafaa to na do ge
aur mujh hi se daaman chhura to na lo ge

No comments:

Post a Comment