Thursday, 6 June 2013

FAASLE AISE BHI HONGE YE KABHI SOCHA NA THA

 
FAASLE AISE BHI HONGE YE KABHI SOCHA NA THA
faasle aise bhi honge ye kabhi soch na tha
saamne betha tha mere or wo mera na tha
wo k khushboo ki tarha phela tha mere chaar soo
main usse mehsoos kr sakta tha choo na sakta tha
 raat bhar pichli si aahat kaan me aati rahi
jhaank ker dekha gali me koi bhi aaya na tha
aaj us ne dard bhi apne alehda ker liye
aaj main roya to mere sath wo roya na tha
ye sabhi veraniya uske juda hone ki thie
ankh dhundlai hui thi shehar dhundlaya na tha


No comments:

Post a Comment