Wednesday 19 June 2013

wo kagaz ki kashti,wo barish ka paani....

 
ye dolat bhi le lo
ye shohrat bhi le lo 
bhale cheen lo mujh se meri jawaani
magar mujh ko lota do wo bachpan ka saawan,wokagaz ki kashti,wo barish ka pani...
kale ki sub se purani nishani,wo burhiya jisse bache kehte the naani
bhulaae nahi bhool sakta hai koi
wo chhoti si raaten,wo lambi kahaani
kari dhoop me apne ghar se nikalna,wo chiriya,wo bulbul,wo titli pakarna...
wo guriya ki shaadi pe larna jhagarna,wo jhulon se girna,wo gir k sanbhalna
wo peetal k chhallon k pyaare se tohfe
wo tooti hui chhuriyo ki nishaani....

wo kagaz ki kashti,wo barish ka paani....

No comments:

Post a Comment