Sunday, 30 June 2013

kitna zaalim hota hai

 
intzaar bhi kissi ka kitna zaalim hota hai dosto
jagaae to saari raat , rulaae to saari umar

bus ayk dua hai....

 
mola......tujh se aaj ki shabb
bus ayk dua hai.....ayk dua
beshak meri aankhon ki qandeel na qaim rakhna
lekin us k khwaab ka roshan diya salaamat rakhna

dheere dheere

 
her shamma bujhi rafta rafta, her khwaab luta dheere dheere
sheesha na sahi,pathar bhi na tha, dil toot gya dheere dheere

hamaari baat itni hai

 
tumhaari baat lambi hai,daleelen hain,bahaane hain
hamaari baat itni hai , hamaari aarzoo tum ho 

Baarish

 
Baarish
kai rog de gai hai naay mosmon ko baarish
mujhe yaad aa rahe hain,mujhe bhool jaane waale

ye zaroori to nahi

 
tujhe paa nahi sake to saari zindagi tujhe pyaar karen ge;;
ye zaroori to nahi jo mil na sake ussy chhor do

hum to iss waaste chhup hain

 
hum to iss waaste chhup hain k tamaasha na bane
tum samajhte ho mujhe tum se gila kuch bhi nahi

zindagi meri

 
wo lamhon me yoon badla jaise badal gai zindagi meri
girr gya pahaar mujh per,gamon ne ghair li zindagi meri
kabhi ye dil talabgaar tha us ka bohat zyada qamar
ab khuda se dua hai,na guzre uski yaadon me
zindagi meri

zindagi raqs kiya kerti thi kabhi

 
zindagi raqs kiya kerti thi kabhi
ab to chup chaap parri hai mujh me

main btaaoon

 
main btaaoon farq nasih,jo hai mujh me aur tujh me
meri zindagi talatum , teri zindagi kinaara

dimagon k faisle

 
dil ko kahan qabool dimagon k faisle
dil to muhabbaton k qabeele ka fard hai


ay ishq marhaba,

 
sharma gae,lajja gae,daaman chura gae
ay ishq marhaba,wo yahan takk to aa gae

main jo chahoon to

 
main jo chahoon to abhi tor loon naata tum se
per main buzdil hoon mujhe mot se darr lagta hai

kaha na tum mere ho

 
tum jaante ho waqt se banti nahi meri
zid kis liye rakhte ho kaha na tum mere ho

mera mehboob

 
numaaish ke liye rakh diya hai dil apna
mera mehboob niraala hai zamaana dekhe

andaaz-e-berukhi

 
ye jo aaj kal andaaz-e-berukhi apnaya huwa he na---
iss se zara bhi farq nahi parre ga meri wafa pe!

tumhe na sochoon to

 
bus---- tumhe na sochoon to bach sakta hoon
tabeeb ne ye aakhri dawa,haath jorr ker btai hai

ayk shakhs

 
aadat mujhe andheron se darne ki daal ker-
ayk shakhs meri zindagi ko raat ker gya-

Saturday, 29 June 2013

agar itna aasan hota

 
kissi se juda hona agar itna aasan hota faraz
to jism se rooh ko lene kabhi farishte nahi aate

kissi ki soch me rehna

 
nazar se door reh ker bhi kissi ki soch me rehna
kissi ke paas rehne ka tareeka ho to aisa!!!!

seene pe sajaa lain tum ko

 
baandh lain haath pe seene pe sajaa lain tum ko
jee me aata hai ke taweez bana lain tum ko
kabhi khwabon ko tarha aankh ke parde me raho
kabhi khwahish ki tarha dil me bula lain tum ko

imtihaan wafaon ka

 
khazaaon me hota hai imtihaan wafaon ka faraz
jo hon shajar ko pyaare wo patte nahi girte

baarishen rukti nahi

 
iss dafa to baarishen rukti nahi faraz
hum ne kya aansoo piye ke saare mosam ro parre

aaj udaas hoon

 
aaj udaas hoon to kissi ne bhi awaaz na di faraz
ye matti k putle kissi se wafa nahi kerte
 

aai jub bahaar


.
jitne zakham bhi the dil ki zameen pe saje
aai jub bahaar to sub gulaab ho gae
 

main kis se kaho---

 
main kis se kaho---
agli baarish ka waada tha us ka
main kis se kaho---
zaid-koi us se bhi to kahe
k aa jao baarish loat aai hai

jub bhi aati hai



.
jub bhi aati hai mosam ki adaaon me tabdeeli
kissi ka yoon badal jaana bohat hi yaad aata hai

shaam ka manzar

 
wo roz doobte huwe sooraj ko daikhta hai ''faraz''
kaash main bhi kissi shaam ka manzar hota

us shakhs ko kaise manaoon

 
main us shakhs ko kaise manaoon ''faraz''
jo mujh se rootha hai meri muhabbat k sabab-

agar wo khwaab hain

 
kahaniyan hi sahi sub mubalge hi sahi
agar wo khwaab hain taabeer ker k daikhte hain

baraste hain ujaale

 
aankhon se teri chinn ke baraste hain ujaale
jaise ke dareeche se sehar jhaank rahi hai

pehle kabhi na thi


 
itni shiddat ansuon me pehle kabhi na thi
daikha apne naseeb ko to sare aam ro diye

main fana ho gya

 
main fana ho gya wo badla phir bhi nahi faraz
meri chhahat se bhi sachhi thi nafrat us ki

thaam loon main haath unka zor se

 
hasrat ye k thaam loon main haath unka zor se
magar kambakht un ki chooriyon pe taras aata hai

kahi tum bhi na ban jaana

 
kahi tum bhi na ban jaana mazmoon kissi kitaab ka
log bare shoq se parhte hain kahaniyan bewafaon ki


 

najaane kyun

 
aaj bari dair tak wo mujhe dekhta raha mohsin
najaane kyun laga k wo mujhe chhor jaae ga

dil kissi dard se bhar aaya hai

 
chehra
chehre to roshni se bante hain
aaine hain banawaton me gum
dil kissi dard se bhar aaya hai
tha teri muskurahaton me gum

jub log kissi se

 
jub log kissi se muhabbat kerte hain 
to uski buraiyan bhool jaate hain
aur jub kissi se nafrat kerte hain to
uss ki achaiyan bhool jaate hain

dil aur bhi uljhe ga

 
afsaano ki duniya me sub jhoot nahi hota
dil aur bhi uljhe ga parhiye na kitaabon ko

jaane kya lafz the

 
umr bhar likhte rahe phir bhi warq saada rahe
jaane kya lafz the jo hum se tehreer na huwe

ayk shair

 
ayk shair
main tujhe roz parhta hoon namaazon ki soorat
tum mujh se kabhi qazaa na hona

hum bhi teri chah me

 
ayk tum hi nahi meri judaai me pareshaan-
hum bhi teri chah me veeraan bohat hain

apne saay ko bhi kyun jagaoon?

 
sochhti hun,k bujha doon main ye kamre ka diya
apne saay ko bhi kyun jagaoon?saath apne

apni muhabbat pe itna yaqeen to hai

 
hamein apni muhabbat pe itna yaqeen to hai
wo mujhe chhor sakta hai magar bhula nahi sakta

mujh ko zaroorat uski

 
umr guzri magar ye nahi huwa maloom
usko meri hai k mujh ko zaroorat uski
itni shiddat se to main ne chhaha tha
mujh se dekhi nahi jaati muhabbat uski

kitni raaten beet gaeen

 
kitni raaten beet gaeen kitne din beet gae
bus beeta nahi to yaadon ka wo pal wo guzra huwa pal
beeti nahi to aankhon ki nammi aur aap ki kammi

meri wafaaen

 
apni muhabbat pe faqt itna bharosa hai mujhe
meri wafaaen tujhe kissi aur ka hone nahi dain gi

muhabbat ka aalam

 
khuda hi jaanta hai muhabbat ka aalam 
k mujhe jeene k liye saanson ki nahi tumhaari zaroorat hai

wo bhi bikhre ga

 
us ka mayaar bhi mujh se juja hai lekin
wo bhi bikhre ga to ho jae ga mere jaisa

jaana chahti hoon

 
jahan k band hain sadiyon se mujh pe darwaaze
main ayk baar ussi ghar me jaana chahti hoon