Friday 5 July 2013

zamaana daikhta hai jisko

 
zamaana daikhta hai jisko hasrat ki nigahon se
wo jiski ik nazar per her koi qurbaan hota hai
 wo jiski jheel ankhon me samander doob jaata hai
mera aizaaz kya kam hai
...mujhe ye naaz kya kam hai
muhabbat k muqaddar ka
yahi aijaaz kya kam hai
zamaan jis pe marta hai
wo mujh pe jaan deta hain
~~~~~~~~~~~~~~

No comments:

Post a Comment